तुम्हारी याद के दीपक भी अब जलाना क्या - Tumhari Yaad Ke Deepak Ab Jalana Kya
Azhar Iqbal Ghazal
तुम्हारी याद के दीपक भी अब जलाना क्या
जुदा हुए हैं तो अहद-ए-वफ़ा निभाना क्या
बसीत होने लगी शहर-ए-जाँ पे तारीकी
खुला हुआ है कहीं पर शराब-ख़ाना क्या
खड़े हुए हो मियाँ गुम्बदों के साए में
सदाएँ दे के यहाँ पर फ़रेब खाना क्या
हर एक सम्त यहाँ वहशतों का मस्कन है
जुनूँ के वास्ते सहरा ओ आशियाना क्या
वो चाँद और किसी आसमाँ पे रौशन है
सियाह रात है उस की गली में जाना क्या
-
अज़हर इक़बाल
तुम्हारी याद के दीपक भी अब जलाना क्या - Tumhari Yaad Ke Deepak Ab Jalana Kya
Azhar Iqbal Ghazal
tumhārī yaad ke dīpak bhī ab jalānā kyā
judā hue haiñ to ahd-e-vafā nibhānā kyā
basīt hone lagī shahr-e-jāñ pe tārīkī
khulā huā hai kahīñ par sharāb-ḳhāna kyā
khaḌe hue ho miyāñ gumbadoñ ke saa.e meñ
sadā.eñ de ke yahāñ par fareb khānā kyā
har ek samt yahāñ vahshatoñ kā maskan hai
junūñ ke vāste sahrā o āshiyāna kyā
vo chāñd aur kisī āsmāñ pe raushan hai
siyāh raat hai us kī galī meñ jaanā kyā