Kahan To Tay Tha Chiraga Lyrics - कहाँ तो तय था चराग़ाँ हर एक घर के लिये
कहाँ तो तय था चराग़ाँ हर एक घर के लिये
कहाँ चराग़ मयस्सर नहीं शहर के लिये
यहाँ दरख़्तों के साये में धूप लगती है
चलो यहाँ से चले और उम्र भर के लिये
न हो क़मीज़ तो घुटनों से पेट ढक लेंगे
ये लोग कितने मुनासिब हैं इस सफ़र के लिये
ख़ुदा नहीं न सही आदमी का ख़्वाब सही
कोई हसीन नज़ारा तो है नज़र के लिये
वो मुतमइन हैं कि पत्थर पिघल नहीं सकता
मैं बेक़रार हूँ आवाज़ में असर के लिये
जियें तो अपने बग़ीचे में गुलमोहर के तले
मरें तो ग़ैर की गलियों में गुलमोहर के लिये |
-
Kahan To Tay Tha Chiraga Har Rek Ghar Ke Liye
Kahan to tay tha chiraga har ek ghar ke liye
Kahan chirag mayssar nahin shahar ke liye
Yahan darkhton ke saye main dhoop lagti hai
Chalo yahan se chalen aur umar bhar ke liye
Na ho kameez to ghutno se pet dhak lenge
Ye log kitne munasib hain, is safar ke liye
Khuda nahin, n sahi, aadmi ka khwab sahi
Koi haseen nazara to hai nazar ke liye
Ve mutmaeen hain ki ptthar pighal nahi sakta
Main bekrar hoon aawaz men asar ke liye
Tera nizam hai sil de zuban shayar ki
Ye ehtiyat zaruri hai is bahar ke liye
Jiyen to apne bagheeche main gulmohar ke tale
Maren to gair ki galiyon main gulmohar ke liye