किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में - Kise Khabar Hai Ki Umr Bas Ps Pe Ghaur | Tehzeeb Hafi Urdu Shayari
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में
Kise Khabar Hai Ki Umr Bas Ps Pe Ghaur
Tehzeeb Hafi Urdu Shayari
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है
कि ये उदासी हमारे जिस्मों से किस ख़ुशी में लिपट रही है
अजीब दुख है हम उस के हो कर भी उस को छूने से डर रहे हैं
अजीब दुख है हमारे हिस्से की आग औरों में बट रही है
मैं उस को हर रोज़ बस यही एक झूट सुनने को फ़ोन करता
सुनो यहाँ कोई मसअला है तुम्हारी आवाज़ कट रही है
मुझ ऐसे पेड़ों के सूखने और सब्ज़ होने से क्या किसी को
ये बेल शायद किसी मुसीबत में है जो मुझ से लिपट रही है
ये वक़्त आने पे अपनी औलाद अपने अज्दाद बेच देगी
जो फ़ौज दुश्मन को अपना सालार गिरवी रख कर पलट रही है
सो इस त'अल्लुक़ में जो ग़लत-फ़हमियाँ थीं अब दूर हो रही हैं
रुकी हुई गाड़ियों के चलने का वक़्त है धुंध छट रही है
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में - Kise Khabar Hai Ki Umr Bas Ps Pe Ghaur
Tehzeeb Hafi Urdu Shayari
![]() | |
|
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में - Kise Khabar Hai Ki Umr Bas Ps Pe Ghaur
Tehzeeb Hafi Urdu Shayari
![]() |
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में - Kise Khabar Hai Ki Umr Bas Ps Pe Ghaur | Tehzeeb Hafi Urdu Shayari |
kise ḳhabar hai ki umr bas us pe ġhaur karne meñ kaT rahī hai
ki ye udāsī hamāre jismoñ se kis ḳhushī meñ lipaT rahī hai
ajiib dukh hai ham us ke ho kar bhī us ko chhūne se Dar rahe haiñ
ajiib dukh hai hamāre hisse kī aag auroñ meñ baT rahī hai
maiñ us ko har roz bas yahī ek jhuuT sunñe ko phone kartā
suno yahāñ koī mas.ala hai tumhārī āvāz kaT rahī hai
mujh aise peḌoñ ke sūkhne aur sabz hone se kyā kisī ko
ye bel shāyad kisī musībat meñ hai jo mujh se lipaT rahī hai
ye vaqt aane pe apnī aulād apne ajdād bech degī
jo fauj dushman ko apnā sālār girvī rakh kar palaT rahī hai
so is ta'alluq meñ jo ġhalat-fahmiyāñ thiiñ ab duur ho rahī haiñ
rukī huī gāḌiyoñ ke chalne kā vaqt hai dhundh chat rahī hai
-